Buht hi mudat k baad kal jab
kitab-e-maazi ko meine khola
buht se chehray nazr mei utray
buht se namoon pe dil paseja
aik aisa safha bhe usme aya
likha huwa tha jo ansuoon se
k jiska unwan "HUMSAFAR" tha
jo safha sabse hi mautabar tha
kch aur ansu phr us pe tapkay
phr us se agay mei parh na paya
kitab-e-mazi ko bandh kar k
tumhare baton mei kho gaya mei
agr tu milta to kaisa hota
Inhi khayalon mei soo gaya mei.
Dono ko aa saki na nibhani muhabbatain
ab par rahi hain ham ko bhulani muhabbatain
Jin jin rifaqaton k diye wastay magar
Uss ko na yaad aain purani muhabbatain
Guzri Rutton k zakham bhi ab tak bharay nahee
Phir Aur kiya kissi se barhani muhabbatain
Janay wo aaj kon se rastay se aain ghar
Har morrr har gali pe bichani muhabbatein
Tum aksar sochtay hogay
Ham tujhain yad nahi kartay
Tumhain ham bhool jatay hain
Magar yeh Bhool tumhari Hai
Asal main baat kuch youn hay
Keh Jab Tum Yaad Atay Ho
To kuch bhi yaad nahee rehta
Aur tumhari yaad main kho kar
Batana bhool jatay hain
Hamain tum yaad aatay ho
Tum aksar yaad aatay ho
Kar Na Sake Ham Pyar Ka Soda,
Qeemat He Kuch Esi Thi
Jeeti Baazi Haar Gaye Ham
Qismat He Kuch Esi Thi
Dunia Sab He Pathar Maray Lela Tery Majnoon Ko
Ishq Main Uss Dewanay Ki Bhi Halat He Kuch Esi Thi
Ek Jhalak He Dekhi To Ham Pyar Ka Dhoka Kha Gay Thy
Yaaron Un Ki Bholi Bhaali Soorat He Kuch Aisi Thi
Dekh K Heeray Moti Ham Se Pyar Ka Naata Tor Gaye
Sonay Chaandi Jesi Shay Taaqat He Kuch Esi Thi
Saqid Na Kar Shikwa Un Se, Zakham Diyay Gar Kaanton Ne
Uss Gulshan Ki Bhi Aadat He Kuch Esi Thi
Jeeti Baazi Haar Gaye Ham, Qismat He Kuch Esi Thi
Tujh Se Milne Ka Naheen Koi Bhi Imkaan Janaan!!!
Chornay Log Chalay Mujh Ko Bayabaan Janaan!!!
Naam Tak Bhool Gaya Hoon Main Junoon Main Tera
Ab To Honton Pe Sada Rehta Hay Janaan Janaan!!
Tujh Se Milne Kaaaaa...
Mujh Se Ehbaab Yeh Kehtay Hain Bhula Doon Tujh Ko
Jesay Ho Kaam Yeh Merey Liye Aasaan Jaanaan!!!
Tujh Se Milne Kaaaaa...
Bin Tery Sara Shehar Veeran Rehta Hai
Bicchar Kar Tujh Se Har Rasta Sunsan Rehta Hay
Wo Tujhay Tujh Sey Zyada Pyar Karta Hay
Jo Trerey Samnay Aksar Bana Anjaan Rehta Hay
Yeh Hum Tasleem Kartay Hain,
Hamain Fursat Nahee Milti
Mgar!
O Meri Soch K Mehvar !
Kabhi Ye Bhi Zara Socho,
K.
Tumhain Yad Kartay Hain,
Jo Khud Ko Bhool Jatay Hain
Dard kiya hota hay batain gay kissi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunain gey kissi roz
Thi un ki zidd k main jaoon un ko mananey
Mujh ko yeh veham tha wo bolain gay kisi roz
Qasam se main ne to socha bhi nahee tha
Woh itna meray dill ko dukhain gay kissi roz
Har roz aaiynay sey yeh hi poochta hoon Main
Kia rukh pay tabbassum bhi sajain gay kissi roz
urnay do in parindon ko azaad fiza main
tumharay hon gay to lout he ayein gay kissi roz
udas mat huwa karo..
udas mat kiya karo..
yeh ashk teri aankh kay
udas shaam ki tarah
barha rahay hain dukh mere
adhooray jaam ki tarah
jo ranj o gham k saye hain
yeh hum ne khud banaye hain
yeh khawb to azab hain
jo aankh main sajaye hain
yeh dard dhul hi jayen ge
yeh waqt beet jaye ga
jo hum nhi to na sahi
koi to jeet jaye ga
jo taiz kr de dhrkanen
wo naam mat liya karo
jo ho sakay sanam to
hansi khushi JIYA karo
udas mat hua karo
jo na hua kabhi ek raat ho gaya,
chaand ko suraj se payar ho gya,
Chaand niklaa talash main aur kho gya,
chaand k jatay he aasman udas ho gaya,
suraj to jalta he raha intezar me or aag ho gaya
suraj ki khata se chaand k liye andhera ho gaya
chaand ne ki bewafai or tarron k sath ho gaya
silah milah kuch iss tarah dono pe garehan ho gya
Kartay rahay berukhi hamesha k liye
ek bann gya din aur dusra raat ho gya
Betay ko saza de k ajab haal hua hay
Dill pehron mera karab k dozakh main jala hay
Aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilona
Uss shakhs ko damad bhi wesa he mila hay
Har ehl e hawas jaib main bhar laya hai pathar
Hamsaaye ki berri pey abhi boor para hay
Ab tak merey aasaab per mehnat hay musallat
Ab tak merey kaanon main machinoon ki sada hay
Aey Raat! mujhay maan ki tarah Goad main le ley
Din bhar ki mushaqqat se badan toot raha hey
Shayad main Ghalat Doar main utra hoon zameen per
Har Shakhs Tahhayyur se mujhay dekh raha hay
Atraaf main baareesh buzurgon ka hay pehra
Aur Beech main sehma hua Tanveer Khara Hay
Phenkey thay ehlay shehar ne jo Aasmaan per!
Pathar tamam barsay wo merey makaan per!
Mushkil main uss haqeer chunti se le sabaq
Gir Gir kar Aakhirash jo charti thi chitaan per
Main Hoon Dhool To Mujhay Khala Main Bakhair Day
Main Chaand Hoon To Mujh Ko Saja Aasmaan Per
Rakho Sanbhal k Dasht e Mazaameen main Qadam
Naqqaad Ghaat Main Hain Adab K Machaan Per
Sipra Nazool e Sher Ki Gharyaan Guzar Gaeen
Parnay Lagay Hain Ab To Hathoray se Dhyan per
HUSAN BEGAANA HAY, EHSAAS E JAMAL ACHA HAY
GHUNCHAY KHILTY HAIN TO BIK JATY HAIN BAZARON MAIN
DEKHI JO MERI NABAZ TO ZARA SOCH KAR KAGHAZ LIA AUR ISHQ KA BEEMAR LIKH DIA,
QURBAAN Q NA JAON MAIN AISAY HAKEEM PER
NUSSKHAY MAIN JISS NE SHARBAT E DEEDAAR LIKH DIYA
Mujh se pehli c muhabbat mere mehboob na maang
main ne samjha tha k tu hy to darakhshan hy hayat
Tera gham hy to gham e dehar ka jhagra kia hay
Teri Surat se hay aalam main baharon ko sabaat
Teri aankhon k siwa dunia main rakhaa kiya hai
Tu jo mill jaye to taqdeer nigoon ho jaye
Youn na tha, main ne faqat chaha k yun ho jay
Aur Bhi Dukh hain zamanay main muhabbat k siwa
Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat kay siwa
An ginnat sadiyon k tareek bahemaana talism
Resham o Attlas o Kamkhawb main banwaye huay
JaBaja biktay huay kucha o bazaar main jism
Khaak Main Luthray huay Khoon Main Nehlai huay
Loat Jaati hay idhar ko bhi nazar kiya kijye
Ab Bhi dillkash hay tera husan,magar kiya kijye
Aur bhi dukhhain zamany main muhabbat k siwa
Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat key siwa
MUJH SE PEHLI C MUHABBAT MEREY MEHBOOB NA MANG
POET: FAIZ AHMAD FAIZ
LAFZ KO PHOOL BANANA TO KARISHMA HAY FARAZ
HO NA HO KOI TO HY TERI NIGAARISH MAIN SHAREEK
GHAM HAY YA KHUSHI HAY TU
MERI ZINDAGI HAI TU
AAFTON K DOR MAIN
CHAIN KI GHARI HAI TU
MERI RAAT KA CHARAGH
MERI NEEND BHI HAI TU
MAIN KHIZAAN KI SHAAM HUN
RUTT BAAHAR KI HAI TU
DOSTON KAY DARMIYAAN
WAJH E DOSTI HAI TU
MERI SAARI UMAR MAIN
EK HE KAMI HAI TU
MAIN TOU WOH NAHEE RAHA
HAAN MAGAR WOHI HAI TU
NASIR ISS DAYAR MAIN
KITNA AJNABI HAI TU
POET: NASIR KAZMI
Suna hay log usay aankh bhar k dekhtay hain
So uss k shehar main kuch din thehar k dekhtay han
Suna hay rabat hay uss ko kharab haalon sey
So apnay aap ko barbaad kar k dekhtay hain
Suna hay dard ki gahak he chashm e naaz uss ki
So hum bhi uss ki galli se guzar k dekhtay hain
Suna hay uss ko bhi hay sher o shairi se shaghaf
So hum bhi mo"jzay apnay hunar k dekhtay hain
Suna Hay bolay to baaton se phool jhartay hain
Yeh baat hay to chalo baat kar k dekhtay hain
Suna hay raat usay chaand takta rehta hay
Sitaray baam e falak se utar k dekhtay hain
Suna hay din ko usay tittliaan satatee hain
Suna hay raat ko jugnoo thehar k dekhtay hain
Suna hay Hashar hain uss ki ghazaal see aankhain
Suna hay uss ko haran dasht bhar k dekhtay hain
Suna hay raat se barh kar hain kaakulain uss ki
Suna hay shaam ko saaey guzar k dekhtay hain
Suna hay uss k labon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar per ilzaam dhar k dekhtay hain
Suna hay aaina e tamsaal hai jabeen uss ki
Jo saada dil hain usay bun sanwar k dekhtay hain
Buss ek nigaah se lut"ta hay qafila dil ka
So rah rawan e tamanna bhi dar k dekhtay hain
Suna hay uss k shabisstaan se muttasil hai bahisht
Maseeh udhar k bhi jalway idhar k dekhtay hain
Rukay to gardishain bhi uss ka tawaf karti hain
Chalay to usko zamanay thehar k dekhtay hain
Kahaniaan he sahi, sub mubalghay he sahi
Agar wo khawb hy to taabir kar k dekhtay hain
Ab uss key shehar main thehrain k kooch kar jain
Faraz Aaao Sitaray Safar K Dektay Hain
Mumkin Jo Agar Hota
Hum Tum Ko Bhula Dete,
Yadon Ko Kafan De Kar
Be Maut Sula Dete,
Tanhai Main Jee Lete
Tum Ko Na Saada Dete
Is Dil Se Tere Dil Tak
Dewaar Utha Dete
Mumkin Jo Agar Hota
Hum Tum Ko Bhula Dete
Suno ik kam karna,
Chand se kuch miti lana,
Us se tum pyar ka mujasma banana,
Ik tum jesa!
Ik muj jesa!
Phr un ko tum tor dena,
Phr un se do or banana,
Ik tum jesa!
Ik muj jesa!
Ta k tum me kuch kuch main reh joan,
Our muj me kuch kuch tum reh jao…..!
Pyar k deep jalaney waley kuch kuch pagal hotey hain,
Apni jan se janey waley kuch kuch pagal hotey hain,
Hijr k gehrey zakhm miley to muj ko ye ehsas hua,
Pagal ko samjhaney waley kuch kuch pagal hotey hain,
Jan se pyarey logon se b kuch kuch parda lazim hai,
Sari bat bataney waley kuch kuch pagal hotey hain,
Us k ishq me bheeg kar hum ko ye ehsas hua,
Dil ki baat me aney waley kuch pagal hotey hain,
Main is hisar se niklon to or kuch sochon,
Tumhare pyar se niklon to or kuch sochon,
Teri gali k elawa b or kariye hain,
Jo is dyar se niklon to or kuch sochon,
Tumhare hijr ki sadiyan tumhare wisal k din,
Main is shumar se niklon to or kuch sochon,
Racha hua hai tera ishq meri poron main,
Main is khumar se niklon to or kuch sochon,
Ye mera jism k matam sarya-e-hsrat hai,
Main is mazar se niklon to or kuch sochon,
Ye muj me kon mere raat din sambhalta hai,
Is ikhtiyar se niklon to or kuch sochon……!
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon….!
Mohabat rog hoti hai kaha b tha,
Rula k khud b roti hai kaha b tha,
Usey tum dil ki dharti ka pata na dena,
Ye us main dard botti hai kaha b tha,
Kinare k bohat nazdeek le ja kar,
Ye kashti ko doboti hai kaha b tha,
Azal se is ki adat hai zamane ko,
Jaga kar aap soti hai kaha b tha��.!
Main titlee ko sula don ga zara tum sham hone do,
Main jugno ko jaga don ga zara tum sham hone do,
Kahin aghaz hota hai kahin anjam hota hai,
Tumhain sub kuch bata don ga zara tum sham hone do,
Meri numnak ankhon ko na dekho yun hikarat se,
Main tum ko b rula don ga zara tum sham hone do,
Mera eman hai k tum ko andhere choo nahi sakte,
Main apna ghar jala don ga zara tum sham hone do,
Bus zara tum sham hone do���!
Jab nahi aaye the tum, tab bhi mere sath the tum
Dil main dhedkan ki tarah,
tan main jevan ki tarah,
meri dharti, mere mosam, mere din rat the tum
jab nahi aaye the tum, tab bhi mere sath the tum...
Garmi e hasrat nakam se jal jate hain, hum chiraghon ki tarah sham se jal jate hain.
Samah jis aag main jalti hai numaish k lie,
hum usi aag main gumnam se jal jate hain.
jab bhi aata hai mera naam tere naam k sath,
jane Q log mere naam se jal jate hain.
Aks-e-khshboo houn bikharne se na roke koi, aur bikhar jaoun to mujh ko na sameete koi. Kaanp uthti houn tanhai main yeh soach kar, mere chery pea tera naam na parh le koi.
Yay jo dil mera bay qarar hay
Yay jo aankh main bhee khumar hay
Jo behak rahay hain qadam meray
Sab kehtay hain yay to piyar hay
Kabhi piyar say tera naam looN
To fizayen mehak mehak gaeeN
Or Khuwab main tujhay dekh looN
To hawayen behak behak gaeeN
Ab hall hay mera aaj kall
Mujhay chain hay, na to hosh hay
Tujhay chahna, yay khata sahee
Magar iss main mera kea "dosh" hay?
is baar dil ne tujh se milne ki thani hai
per mein ne kab kisi ki koi baat mani hai
aik shab tere sath nikalna hai raat se
ek shaam tere sath kisi din manani hai
ek bhed kholna hai mujhe tere ru baru
ek baat hai to mein ne tujhi ko batani hai
Mere pyaar k tu sang sang hay
Mere sapnon main chahat ka rang hay
Pyaar kiyaaaaa
Main ne dil deya,main ne dil liya
Phali huy chandani hay
Raat bhi haseen hay
Tu jo naheen paas mere
Kuch bhi naheen hay
Tuj bin meri suni umang hay
Mere sansoon main tu mere sang hay
Gati huy roshni hay pyaar ko jagaye
A ja mere meetman tuj ko bulaye
Aaj sari fazaa jaltarang hay
Meri sanson main tu mere sang hay
Pyaar kiyaaaaa
Main ne dil deya,
Bheer Mein Rishtoon Ki Is Dil Ko Akela Dekha,
Zindagi Aisa Bhi Humnein Tera Chehra Dekha,
Ab To Band Hone Ki Aankhoon Ko Ijaazat Dede,
Barsoon Aankhoon Ne Tera Jaag Ke Rasta Dekha,
Gareebi Tujhe Kaise Main Na Kaatil Samjhoon,
Main Ne Hi Karte Tujhe Khoon-E-Tamanna Dekha,
Umr Bhar Saath Chale Phir Bhi Rahe Hum Tanha,
Hum Ne Kurbat Mein Bhi Ek Faasla Aisa Dekha,
Usne Bahoon Mein Sama Rakhhe The Darya Lekin,
Humne Saahil Ko Dekha To Woh Bhi Pyaasa Dekha !!!
Band Ankhon Se Toote Khawab Ki Kirchen Bahar Aati Hen
Dil Ke Band Dareechon Se Kuch Sadayein Bahar Aati Hein
Logon Se Chupta Hoon Khilwat Dhoondh Ta Hoon
Tanhai Ke Aalam Me Mere Andar Se Kai Zaaten Bahar Aati Hein
Nam Meri Aankhen Yun Hi To Raha Nahi Karti
Yaadon Ke Dareechon Se Teri Baatein Bahar Aati Hein
Yaadein Teri Jo Dar-E-Dil Khatka Kar Chali Jaati Hein
Dharkanein Tujhe Dhoondh Ne Saari Seene Se Bahar Aati Hein
Mujhe Apno Ka Gham He Na Geron Ka Shikwa
Mere Jism Se Ye Roohein Kiun Nahi Bahar Aati Hein
Jeene Marne Ke Liye Itna Hi Kaafi He Khurram
Khabrein Uski Khair Ki Kabhi Kabhi Bahar Aati Hein
Rangon Se Manoos Dil Ko Hona Chahiye
Taqaddus Rishton Ka Magar Dil Me Hona Chahiye
Saat Rangon Se Ye Duniya Sajti Nahi
Be Noor Sa Ek Rang Dil Me Hona Chahiye
Kiun Na Naaz Ho Mujhe Apni Dilbari Pe
Afsos Kuch To Tumhe Bhi Apni Qismat Pe Hona Chahiye
Saaton Aasman K Rang Peekhe Lagte Hein Abto
Kuch To Surkh Meri Aankhon Ko Ab Hona Chahiye
Ek Tum Hi To The Qareeb Mere Itna
Aise Dukh Ki Waja Logon Ko Bhi To Pata Hona Chahiye
Tera Apne Rukh Ko Gulaab Se Woh Sehlana
Aur Tere Husn Pe Gulaab Ka Who Sharmana
Kuch Palkon Ko Uthana Aur Kuch Nazron Ko Jhukana
Tere Labon Ki Ranai Aur Who Muskurana
Apni Chath Pe Bheth Kar Sochta Hoon Me Aksar
Kese Bhula Sakta Hoon Me Din Who Suhana
Aaj Bhi Yaad He Mujhe Who Rooh Ki Seraabi
Sharma Kar Tera Meri Baahon Me Who Simat Aana
Hosh Aaye To Mujhe Bhala Kese
Mere Sar Ko Sehla Kar Tera Who Khilkhilana
Iqrar Uski Aankhon Ka Aaj Bhi Yaad He Mujhe
Kese Bhula Sakta Hoon Me Win Who Suhana
Chehra Dar Chera Yahan He
Asli Chehra Na Jaane Kahan He
Naam To Insaniyat Ka Bhi Baqi Nahi Yahan
Jug Se Nirala Ye Jahan He
Kis Se Pochoonga Pata Tera Yahan
Kisi Ko Pata Yahan Kisi Ka Kahan He
Ab Tu Nazar Utha Bhi De To Kiya He
Who Zog-E-Junoon Baqi Ab Mujh Me Kahan He
Teri Chahton Ki Aag Me Lipta Hua Hoon
Wagarna Baqi Ab Badan Me Hararat Kahan He
Ye Tujhe Chahne Ki Jaza Nahi To Aur Kiya He
Ke Log Pooch Te Hen Tu Ab Kahan He
Haar To Jaon Khudh Ko Main Magar
Haarne Ka Saman Bhi To Hona Chahiye
In Kataron Se Kaise Na Zakhmi Hoon Mein
Insaan Ke Andar Kuch To Zoq Hona Chahiye
Begunaah Mein Bhi Nahi Magar
Insaan Ke Bas Main Bhi To Kuch Hona Chahiye
Logon Ko To Kehne Do Magar
Tumhe To Kuch Sochna Chahiye
Saza Paane Ko Tayyar To Hoon Main Magar
Is Ilzaam Main Kuch Sachai Ko To Hona Chahiye
Har Bar Ab Is Tarah Chale Ga Nahi
Aitraaf Ab Tumko Karna Chahiye
Apne Dil ki sun, Afwahoon se kaam na le,
Mujhe yaad rakh,beshak mera naam na le,
Yeh tera veham hai k bhoola hoon tujhe,
Meri koi sans aisi nahi jo tera naam na le
Mosam Ko Mosam Ki Baharoon Ne Luta,,,
Kashti Ko Sahil K Kinaroon Ne Luta,,,
Abi Tm To Aik He Qasam Se Derr Gay,,,
Humhe Tumari Qasam De De K Hazaroon Ne Luta...!!!
Kaha Main Nay Kahan Ho Tum????
Jawab Aya Jahan Ho Tum...:)
Mere Jeevan Say Zaahir Ho
Mere Gham Mein Nihaan Ho Tum....
Meri Tou Saari Duniya Ho
Mera Sara Jahan Ho Tum.......
Meri Sochon Ka Mehwar Ho
Mera Zor-e-Bayaan Ho Tum......
Main Hoon Lafz Muhabbat Hoon
Magar Meri Zuban Ho Tum…
Mujhe Apne Badn Ki Khushbu Se Masrur Kardo,
Mujhe Apni Nazuk Bahon me mehsur kardo,
Sine se Laga k mere sare gham Door kardo,
Me Tumse Juda Na Ho Paon Itna Majbor Krdo,
Surkh honto se pilao ya in mast Aankho se,
Main tere jism se Lipta rahon
itna choor kardo,
Leke Bahoon me tujhe Honto
se itna cho Lon,
Fasle sharm-O-haya ke tum
bhi Door kardo,
Meri Nas Nas Me Bas Jaye JAN Pyar Tera,
Me Kisi Aur Ko Na Dekhon Itna Magror Krdo,
teri chandni me nahaon me or har taraf andhera ho
Ek chadar mein lipte do badan
Ek tera ho ek mera ho
Tere makhmaleen badan mein
Khushboo ke chaman mein
Sadiyon tak woh raat chaley
Sadiyon door savera ho
Tere honton ko jab see doon mein
Apne honton k dhaage se
Ek sanate mein khamoshi se
Teri baahon ne mujh ko ghera ho
Dono lipten ek doojey mein
Ek gaanth si lag jaye badno mein
Mere jism mein ghar mil jaye tujhe
Tere jism mein mera basera ho
Dil kehta hai kuch aisa ho
Tu ban jaye Main aur main ban jaon tu
Bister par tere mere siwa
Sirf junoon aur khamoshi ka dairaa ho
Ek chadar mein lipte do badan
Ek tera ho ek Mera ho.
Betha kar mehboob ko pehloo mai raat bhar ghalib
Jo kuch nahi kartay kamal kartay hain .....
Bhool ker bhi bhula nahi sakte
Aur hum tujh ko paa nahi sakte,
.
Khud pe ilzaam dhar liya hum ne
Tujh pe tohmat laga nahi sakte,
.
Dil pe likha hai yun tera naam
Chah ker bhi mita nahi sakte,
.
Us ne duniya bhula ker rakh di hai
Hum to lab bhi hila nahi sakte,
.
Bhool jaate hain roz woh yeh keh ker
Hum tum ko bhula nahi sakte.
aa ja k abhi zabt ka mosam nahi guzra,
aa ja k abhi barf paharon py jami hy,
khushbu k jaziron sy smandar ki hadon tak,
is shehr mein sab kuch hy faqat teri kami hy.
Bhool ker bhi bhula nahi sakte
Aur hum tujh ko paa nahi sakte,
.
Khud pe ilzaam dhar liya hum ne
Tujh pe tohmat laga nahi sakte,
.
Dil pe likha hai yun tera naam
Chah ker bhi mita nahi sakte,
.
Us ne duniya bhula ker rakh di hai
Hum to lab bhi hila nahi sakte,
.
Bhool jaate hain roz woh yeh keh ker
Hum tum ko bhula nahi sakte.
Phoolo se poocho is main singhar kitna hai?
Mere dil se poocho is main pyar kitna hai?
Saye ki tarha tumhara pyaar saath rehta hai...
tumhare saath guzra hua har lamha yaad rehta hai.
Apne gamo ki yu numaish na kar,
Apne nasib ki yu aazmaish na kar,
Jo tera hai tere dar pe khud ayega,
Roz roz use pane ki khwaish na kar!
YA "ELAAHI" AJ YEH "FARMAN" LIKH DE
HAR KHUSHI MARE "PIYAR"KE NAME LIKH DEY
AGHAR USKI KHUSHI K LIYEH KISI KI "JAAN"JANI HO
TO US "JAAN"PEY MERA "NAME"LIKH DEY
kaanch ka tohfa na dena kabhi
rooth ke log tor dete hain
jo bohot achey hon un se pyaar na karna
aksar achey log hi dil tor diya karte hain
Mujh ko aazmane ka kya nateja nikla.
zakhme dil nazroon se b gehra nikla.
mere dil ka aaena tor kar dekh hi liya to ne,
bta teri tasweer k siwa kya nikla
nazere humari nazere tumhari nanaro ne nazar ki nazar utari ye hi dua hai rab se ki nazar na lage pyar ko humari
Meri Muhabbat ki app kya aazmaish kar sako gay
Jaan se ziada kya farmaish kar sako gay
Meri mohabbat hai samunder k pani ki manind
Kya samunder k pani ki pemaish kar sako gay
Wo shakhs mujhe toot k rone nahin deta
Khawabon me agr aye to sone nahin deta
Khud us k marasim to zamanay se hain lekin
Mujhe wo kisi or ka hone nahin deta
jo aansu na hote aankho me
to aankhein itni khubsurat na hoti
jo dard na hota dil me
to khushi ki koi qeemat nahi hoti
jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti
agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti
Falak pe jitney tarey hain
Zameen pe jitney nazarey hain
Sab bas tumhary hain
Ye sab bas tumhary hain
Pholoon main jitni khushbu hai
Dhanak main jitney rang hain
Bagho mian jo aye mousam hain
Saare hain
Sab bas tumhary hain
Suraj ki jitni kirney hain
Suroo main jitne naghme hain
Dilo main jitney ehsas hamare hain
Sab bas tumhary hain
Lab Pe Hi Rukti Hai Baat Aate Aate
Neend To Nahi Aati Sapnay Bohat Hain Aate
Hum To Hain Phasay Ik Haseen Uljhan Mein
Kaash Woh Aakar Iseh Suljhaate:::::::::::
Sansoo Ka Pinjara Kisi Din Toot Jayega Phir Musafir Kisi Rah Me Chot Jayega Abi Sath Hai To Bat Kr Liya Karo Kia Pata Kab Zindagi Ka Sath Chot Jayge.
Badla hy to aesa badla hy kuch range gulistan
ek phool pr bahar hy ek phool pr khizan
zindagi bhr ghame judai mujhe terpaye ga
hr naya mausam purani yaad ly kr aye ga
kaanch ka tohfa na dena kabhi
rooth ke log tor dete hain
jo bohot achey hon un se pyaar na karna
aksar achey log hi dil tor diya karte hain
meri nazar se na ho door aik pal ke liye
tera wajood hai lazim meri gazal ke liye
tera yeh sath mujhe itna hi zaroori hai
ke jitna pani zaroori hai kanwal ke liye
is baar dil ne tujh se milne ki thani hai
per mein ne kab kisi ki koi baat mani hai
aik shab tere sath nikalna hai raat se
ek shaam tere sath kisi din manani hai
ek bhed kholna hai mujhe tere ru baru
ek baat hai to mein ne tujhi ko batani hai
Na Sham Udas hogi
Na rat Udas hogi
Safed kapdo me lapti hoi meri lash hogi
ye dafnane wale mujhe waha dafnana
jaha subah sham meri membuba se
mulakat hogi
Tum Ne Pocha Hai K Dukh Kia Hota Hai?
To Suno....
Aesa Kerna Kabhi Kisi ko Chahna Aur Chahate Hee Rehna
Din Bher Usko Sochte Hee Rehna
Apne haath Ki Lakeeron Mein Uska naam Traste hee Rehna
Aur Jab kabhi wo In Riyazaton ka Hisab Mangne K Liye
Samne Aaye To...........
Tum AANA Ka hath Thaam Lena
Agar Wo Kuch Kahe To
Muskura Ker Anjan Ben Jana
Aur Jab Wo mayoos Ho Ker Lout Jaye To....
Apne ANder Jhankna AUr
Khud Se Pochna
Tab Tumhara Dil Tumhe Batae Ga Ke.....
Dukh Kisko Kehte Hain
Aur...
Dukh Kia Hota Hai......
Dar dar bhatakte hai arman ki tarha,
Har koi milta hai anjaan ki tarha,
Iss duniya se khushi ki aas kya rakhnaahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha,
Uthetay hai jab ye haath dua ko,
Rab se tere liye hi faryaad karte hai,
Tum humain bhula bhi do to kya,
Hum to tumhe har pal yaad karte hai.
Itni si baat pay dil ki darhkan hi ruk gai........
Ik pul jo tasawur kia us k baghair jeenay ka.......
Mere kareeb to aao ki bahut udaas hoon mai,
koi kahani sunao ki bahut udaas hoon mai,
kisi bhi jhoote dilaase se dil ko behlao to sahi,
bus aaj toot ke chaho ki bahut udaas hoon mai.
Itni si baat pay dil ki darhkan hi ruk gai........
Ik pul jo tasawur kia us k baghair jeenay ka.......
Pathar ki hai duniya jazbaat nahi smjti
Dil me kya hai baat, woh baat nahi smjti
Tanha to chand bhi hai sitaro k beech magar
Chand ka dard yeh raat nahi samjti.
Kabhi aansoo kabhi Khushi dekhi
humne majboori aur bekasi dekhi
Chand lamhaat jeene ke liye
bechke apni zindagi dekhi
Andhere agar ghir aaye ho
tere pehloo mai raushni dekhi
Teri naraazgi ko kya samjhein
humne khud apni bebasi dekhi
Hum kyon yahan badnaam hai
zamaane ki humne dillagi dekhi
Waadon par bharosa abh kyon rahe
humne azeezon ki wada-khilaafi dekhi
Ek hum hai jo lut gaye tanha
Warna duniya bhar ki dosti dekhi....
Mera apna na tha koi mere siwa.
Main ne chaha kisi ko, na chaha gaya..
Main ne jitne mohabbat bhare khat likhe
Un pe apne hi ghar ka pata likh diya
Tere Mere Is Pyar Pe Is Zamane Ka Pahera Hai
Zamana Ye Nahi Jaanta Hamara Pyar Kitna Gahera Hai
Har Waqt Subha Shaam Dostaon Se.
Chahate Huwe Bhi Kiya Zikr Tera Hai
Teri Har Saans Se Milti Hai Zindagi Mujhe
Dhadakta Hai Jo Tere Seeney Me Wo Dil Mera Hai
~*~Bhool Ja..~*~!!
Jo Tera Na Ho Saka Usey Bhool Ja
Woh Lamha Khawab Samajh Ker Bhool Ja
Na Ker Woh Khwaish Jo Puri Na Ho Sakey
Jo Na Mil Saka Usey Bhool Ja
Na Ker Waqt Barbaad Purani Yaadon Mein
Khul Ker Hans Le Aur Gham Ko Bhool Ja
Zindagi Naam Hai Aagay Bharne Ka
Kal Ko Kal Hi Rehne De Sab Bhool Ja
Chora Hai Mere Yaar Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Hasna Chor Doon
Loota Hai Duniya Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Jeena Chor Doon
Thukraya Hai Apnon Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Ye Nahi Ke Chahna Chor Doon
maine kabhi apni nahi doosron ki khoshi chahi,
par hamesha doosron ki nafrat hi payi,
aaj tak kisine humse dosti nahi ki,
par aaj is duniya ke logon ne meri zindagi hi badal di,
is duniya ne bhale hi diye ho hume hazar gham,
par tumhari dosti se mit gaye sare gham
Mere kareeb to aao ki bahut udaas hoon mai,
koi kahani sunao ki bahut udaas hoon mai,
kisi bhi jhoote dilaase se dil ko behlao to sahi,
bus aaj toot ke chaho ki bahut udaas hoon mai.
bhoole hain wo kuch is tarahan se hame.
Ab intezar karna hmara naseeb ho gaya hey,
Na jane koi khata ho gai humse,
Ya koi aur un k qareeb hogaya hey......
kashti bhi nahi badli dariya bhi nahi badla,or dobnay walon ka jazba b nahi badla,
hay shoq-e-safar aisa ik umr se yaro manzil bi nahi paai rasta b nahi badla.
Ajeeb lagti hai sham kabhi kabhi
Zindagi lagti hai bejaan kabhi kabhi
Samjh Aaye tou humen bhi batana
Ke kyun karti hain yaden pareshan kabhi kabhi.
Yoon To Duniya Ik Nuqte Me Simat Jati Hy
Teri Talash Me Ye Nuqte Aboor Kr Na Sake
Ik Tera Pyar Mere Liye Motabr Thehra
Us Pe Naz Tha Lekin, Gharor Kr Na Sake
Tumhara naam likh likh kar mittana bhool jata houn,,,
Tumhain jab yaad karta hun bhulana bhoool jata houn,
Bahot si aisi batain hain jo mery dil main rehti hain ,,,,,,,,
Magar jub tum se milta houn sunnana bhool jata houn,,,,,,,
Tumharey baad ab har pal bari mushkil se katta hy,,,,
Main aksar tum ko batana bhool jata houn,,,,
Main harr sham kehta houn k tum ko bhool jaoun ga,,
Magar jab subah hoti hy to bhullana bhool jata houn,,,,,,,,,
Aisa nahi k us sa Mohabbat nahi hamain,
Gham Roz Roz sehna ki aadat nahi hamain,
Har bar us k samna sar ko juka liya,
Our pir b dekh uss sa Shikayat nahi hamain,
Aetibar kar k Chahte hai hum,
Uss k siwa kisi ki b Chahat nahi hamain,
Hum jantain hai wo b hai Tanha hamra bina,
Oouron sa poochne ki zarorat nahi hamain,
Kaisay rahain ga Bin uss k ab Baat man lay,
Us k bagair Rahnay ki Aadat nahi hamain...!!!
Palko ka kinarey jo hum ney kabhi bhegoy nahi
Inehee lagta hey k hum kabhi roye nahi
Pochtey hey kisey dekhtey ho sapno mai
Inehee kiya malom k hum barso sey soye nahi
main b khamosh negahon say osay dakhta hai
Wo b chupkay say kabhi aa kay sada dayti hay.
Kia khaber kal ki mager hm nay suna hay akser
rafta rafta ya ada payar bharda dayti hay.
JUB YAAD ATI HAI MUSKURA LETEHAIN,
KUCH PAL HER GHUM BHULA DETEY HAIN,
KESEY bhEEG SKTI HAIN APKI PALKEIN,
AP K HISSEY K ANSUU JO HUM BHA LETEY HAIN....
Aisa nahi k us sa Mohabbat nahi hamain,
Gham Roz Roz sehna ki aadat nahi hamain,
Har bar us k samna sar ko juka liya,
Our pir b dekh uss sa Shikayat nahi hamain,
Aetibar kar k Chahte hai hum,
Uss k siwa kisi ki b Chahat nahi hamain,
Hum jantain hai wo b hai Tanha hamra bina,
Oouron sa poochne ki zarorat nahi hamain,
Kaisay rahain ga Bin uss k ab Baat man lay,
Us k bagair Rahnay ki Aadat nahi hamain...!!!
Hum us sa Shoq-E-Mulaqat nahi rakhta, Magar mile koi our us sa yeh acha nahi lagta, Hum us ko chahtay b nahi hain magar, Chahay koi our usay yeh acha nahi lagta, us ka kafla mein chalnay ki arzoo nahi, Magar Chalay Koi our sath us k yeh acha nahi lagta, Didar us ka itna Passand nahi humain, Magar Dekhe koi or usay yeh acha nahi lagta,
"Nafrat Hai,,,,, "Mohabbat Hai,,,,,, "Adawat Hai,,,,, "Maloom Nahi,
Kisi our ko Batain ya Acha Nahi Lagta
Tanah Raaton main yaad koi aata hay
Waqt mera aksar uski yaad main kat jata hay
Khushi aur Ghum Main wohi nazar aata hay
Kun keh yeh pagal Dil usay bahut chata hay
bhool kr zaat tum ko yad kiya,
baat bay baat tum ko yad kiya,
neend naraz hogayi hum se,
hum ne jis raat tum ko yad kiya
wo mere sath sath raha......
wo meri nazir se chupa howa........
ye ajeeb hijr-o-visal hai na kabi
mila na juda howa.....
Ankhon pe aansuki lakeer ban gayi
kabhi na socha aisi takdir ban gayi
hanne to fehrayee thi raet per ungliyan
gaur se dekha to teri tasveer ban gayi.
Palko ka kinarey jo hum ney kabhi bhegoy nahi
Inehee lagta hey k hum kabhi roye nahi
Pochtey hey kisey dekhtey ho sapno mai
Inehee kiya malom k hum barso sey soye nahi
ye zärä zärä si bäät pe, tärhä tärhä k äzäb kyun? jo kisi se bhi khäfä nä ho mujhe us KHUDA ki täläsh hay
Mujhy läghzäshon pe här ghäri koi toktä häy bär bär? jisäy kär k dil ko dukh nä ho mujhäy us GUNAH ki täläsh häy
binä humsäfär k käb täläk koi musäfton men lägä rähäy? jähän koi kisi se judä nä ho mujhäy us RAHH ki täläsh häy
Mujhäy dekh kär jo äik näzär meräy säräy därd sämäjh säkäy ! jo is qädär ho chärä-gar
mujhay us nigah ki talash hai
wo mere sath sath raha......
wo meri nazir se chupa howa........
ye ajeeb hijr-o-visal hai na kabi
mila na juda howa.....
ek huraf tasali ka ek lafz muhabat ka.....
khud apne liye us ne lihka to bahut roya....
pehle b tere khater bahut shikasten kaayen ti us ne....
lykin jab wo tere haaton hara to bahut roya...
NA TASVEER HAI TUMHARI JO "DEEDAR" KIYA JAYE.... NA TUM HO PASS JO "PYAAR" KIYA JAYE ... YE KAISA "DARD" DIYA TUMNAY ..... NA KUCH KAHA JAYE NA TUM BIN RAHA JAYE !!!!!!!!
Sunehri dhoop barsaat k baad,
Thori si hansi her baat k baad,
Jaisay aati hay subha her raat k baad,
Hum aap ko yaad kertay hain her sans k baad..
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
Khali hi sahi hathon mein jam to aaya
Mein hoon bewafa sabko betaya usne
Yun hi sahi, uske labhon pe mera naam to aaya.
dil ka dard chupana kitna muskil hai
toot kar phir muskurana kitna muskil hai
door tak jabchalo ksi ke sath to phir
tanha lot ke ana kitna muskil ha
har nek aarzoan ko duva nahi milti... kisi ko khushi sada nahi miti... kitna mushkel hia ashkon ko chupana... ashkon ko to aankon me b panaah nahi milti...
Teri yaad ne bura haal kar diya
Tanha mera jeena muhal kar diya
Socha jo tumhe yaad na kare
Dil ne dharakney se inkarr kiya
Umeed ki Kashti ko Doboya nhi krte
Sahil agar Door ho to Roya nhi krte
Rakhte hai jo Dil mei Tadap kisi ki
Woh Log to Raaton ko Soya bhi nhi krte
Chale tu kadamdam jo saath mery
To tery saath se pyar ho jaye
Thamey jo pyar se haath mera
To apne haath se pyar ho jaye
Jis raat aye tu khwabon me tu
us suhani raat se pyar ho jaye
Jis baat mein aye ziker tera
To ussi baat se pyar ho jaye
Jab pukare pyar se naam mera
To apne hi naam se pyar ho jaye
hota hai inta khubsurat ye pyar ager
TO KASH
"Tuje" bhi mera pyar se pyar ho jaye
Sans Tak Bhi Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt
Hum Ne Iss Kaam Ko Bhi Kal Per Utha Rakha Hai
Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho
Yahi Soch K Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai
Es Dil Ka Kaha Mano,
Aik Kam Kar Do,
Meri Zaat Pa Faqt Itna Aasan Kar Do,
Aik Din Mujh Sa Milo
Aur
Sari Zindagi Mera Naam Kar Do.
Sans Tak Bhi Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt
Hum Ne Iss Kaam Ko Bhi Kal Per Utha Rakha Hai
Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho
Yahi Soch K Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai
Saza ye khub mili tumse dil lagane ki.
Nazar lagi hai mere pyar ko zamane ki
Ab to kabr me se bhi nikalke kahte hai hath mere.
Hame To HASRATEIN rah gayi tumhe gale lagane ki
Badi mushkil mein hoon,
main kaise izhaar karu,
tu to khushbu hai,
tujhe kaise giraftar karu.
Wo so jata hai aksar hamain yaad kia bghair,
Humain nind he nahi ati unse bat kya bgair,
Kasor un ka nhe kasor to hmara ha,
Unhain chaha be to unki ejazat liya bgair
KBHI YOUN BHI AA MERI AANKH MEIN K MERI NAZAR KO BHI KHBAR NA HO
MUJHY EK RAAT NAWAZ DY PHER US K BAD SEHER NA HO
WO BADA RAHEM O KAREEM BHI HY MUJHY YE SEFT BHI ATA KRY
TUJHY BHOOLNY KI DUAA KRUN OR DUAA MEIN MERI ASAR NA HO
bhulana lakh chahta hoon lakin usa bhula b nahi pata,
apna is nadan dil ko kabi samja b nahin pata,
ha bohat piyar SAJIDA k liya mera dil main,
lakin apna dil ki bat usa bata b nahi pata
apna ho ya bigana ham dil tora nahin karta,
barukhi sa us sa mun kabi mora nahi karta,
ham diljale piya ki rahoon main kisi ka,
jab tham leen daman to phir chora nahin karta
Zindagi me bahut baar aisa waqt ayega, jab aapko chahnewala hi aapko rulayega, magar aitbar rakhna uspar, akele me woh aapse kahi zyada aasu bahayega........
Dua karthe hain ke Hum sar Jhukaye aur aap manzil ko paaye,
jab kabhi tumhari raah mein andhera ho tho roshni ke liye khuda hamein jalaye.
wo likhte hain humara naam mitti mein or mita detey hain un k liay yeh kheel hai per hume to wo mitti mein mila dete hain
rait pay kabhi naam likhtay nahin, Rait pay likhay naam dikhtay nahin log humain pather dil kahtay hain yaad rahay pather pay likhay naam kabhi mittay nahin!!!
Bhool ker bhi bhula nahi sakte
Aur hum tujh ko paa nahi sakte,
.
Khud pe ilzaam dhar liya hum ne
Tujh pe tohmat laga nahi sakte,
.
Dil pe likha hai yun tera naam
Chah ker bhi mita nahi sakte,
.
Us ne duniya bhula ker rakh di hai
Hum to lab bhi hila nahi sakte,
.
Bhool jaate hain roz woh yeh keh ker
Hum tum ko bhula nahi sakte.
Yeh Hum Bhi Gawara Kartay Hain,
Yeh Tum Bhi Gawara kar laina.
Ro Ro K Guzari Hai Hum Nain,
Tum Hans k Guzara Kar Laina.
Betabi Hadh Sa Barh Jaye Aur Neend na Aaye Ratoon Ko,
Tou Doub K Meri Yadoon Main Duniya Sa Kinara Kar Laina.
Jis Waqt Janaza Guzray Ga Iss Shakhs Ka Teray Kochay Sa,
Jazbaat Pe Qabo Kar Laina Khirki Sa Nazara Kar Laina.
Haseen paloon ko phir se aabad kar rahe the,
Chand se aap ki baat kar rahe the,
Dil ko barra sakoon mila jaan kar,
Ki aap bhi humien yaad kar rahe the.
Aapko miss karna roz ki bat ho gai,
yaad karna aadat ki bat ho gai,
apase dur rahena kismat ki bat ho gai,
magar aapko bhulna
apane bas ke bahar ki baat ho gai!
Kabhi ki hogi Suraj ne Chand se Mohabbat,
Tabhi to Chand me Dag hai,
Mumkin hai ki Chand se hui hogi bewafai,
Tabhi to Suraj me aag hai...
Ehsaas Bohat Hoga Jab Chor Ke Jaingay
Roengay Bohat Magar Aansu Nahi Aaengay
Jab Saat Na De Koi To Awaz Hamain Dena
Aasman Per Bhi Hongay To Lout Ke Aaengay
Koi sham aati hai tumhari yaad lekar
Koi sham jati hai tumari yaad dekar
Mujhe tho us sham ka intezar hai
jo aaye tume saath lekar.
Jab kabhi tera dil ghabray tu lot ana,
Agar kabhi mer yaad satay tu lot aana,
Aaj mujhe thukra dia aae dost zamana thukra de tu lot aana.
Es Dil Ka Kaha Mano,
Aik Kam Kar Do,
Meri Zat Pa Faqt Itna Aasan Kar Do,
Aik Din Mujh Sa Milo
Aur
Sari Zindagi Mera Naam Kar Do.
Teri kushi se nai gham se rishta hai mera
Tu zindgi ka 1 eham hisa hai mera
Ye dosti tumse sirf lafzon ki nahi hai
Ruh se Ruh ka risht hai mera
Kissi ko pyar ki sachai mar dalti hai
Kissi ko dard ki gahrai mar dalti hai
Bichad kar dosti main ji naheen lagta
Jo bach gaya isay tanhai mar dalti hai
Ulfat Main Baraber Hain "WAFA" Ho Ke Jafa HO.",
Her Cheez Main "Lazzat" Hai Ager "DIL" Main Jaga Ho.",
Maktab-e-Ishq Ka Andaz Niralay Daykhay.
Us ko Chutti Na Mili Jis Nay Sabaq Yaad Kia
Manzilain bhi us ki theen, Rasta bhi us ka tha,
Aik main akela tha, Qafla bhi us ka tha,
Sath Sath Chalnay ki, Soach bhi uski the,
Phir Rukh Budalnay ka, Faisla bhi us ka tha,
Aaj kion akela hoon, Dil sawal kerta hai,
Man Kay na honay ka, Dukh bus Itna tha.
Lafzon ki justuju mai sub kuch ganwa dia,
Woh chal dia main tarz-e-ada dhundta raha,
Us ko kisi ne rab se mang lia aur main,
Sajdey mai gir k harf-e-dua dhundta raha
Ye zindagi bari ajeeb si,
Kabhi gul zar si,
Kabhi bezar si,
Kabhi khushi hamarey sath sath,
Kabhi ghamo ki barsat si,
Kabhi tufan main bhi hain raste,
Kabhi manziloon ka pata nahi,
Kabhi do qadam pe zindagi,
Kabhi sadyon tuk intezar si,
Kabhi har pal imtehan he,
Kabhi bin mange inam he,
Kabhi kuch nahi, kabhi sub kuch se,
Ye zindagi bari ajeeb si.
Faryaad ker rahi hay meri tarasti hui nigha,
Dekhe huye kisi ko bohat din guzar gaye.
Abhi tum kamsan ho nadaan ho,
Mere Dil ko kho do gay kahein,
Yeh dil tumhari imanat hai,
Lejana isse jawan ho ker
Tum Na Mano Yeah Haqeeqat hai,
Dosti Insan ki Zarorat Hai,
Kisi din aao hamari mehfil mein,
Jaan jao gay zindgi kitni Khubsurat hai....
Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoon
Tujhe jane bina tera haal bata sakta hoon
Hey meri mohabbat main itna dam
Apni ankh ka ansoo teri aankh se gira sakta hoon...
Saza ye khub mili tumse dil lagane ki.
Nazar lagi hai mere pyar ko zamane ki.
Ab to kabr me se bhi nikalke kahte hai hath mere.
Hame To HASRATEIN rah gayi tumhe gale lagane ki
Jaane kya mujhse zamana chahta hai
Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai
Jaane kya baat jhalakti hai mere chehre se
Har shaks mujhe aazmana chahta hai
koun kehta hai k tumse hamari judae hogi! yeh afwah zaror kisi
dushman nay urae hogi! shan se rahaingay tumhare dil main HUM! itnay dino main
kuchh to jaga banae hogi
kiun ham kisi pe aitbar kartee hain kiun ham kisi se piyar kartee
hain woh jo apna hai he nahi kiun us k liyee dil bekrar kartee hain.....!
Dil chahe wo koi bat kare,
Jab dil ke taar toote hon,
Jab saare mujh se roothe hon,
Jab aankhen meri bheegi hon,
Dil chahe wo koi bat kare,
Wo kahe,
Mera dil pe nahi he zor koi,
Mere dil me nahi he aur koi,
Wo kahe bus mein teri hon,
Bus itni si bat kare,
Dil chahe wo koi bat kare,
Izhar hum karen ya udhar se ho ibtida,
Barson guzar gaye yehi sochta huay.
Mehfil main kuch tu sunana perta hai, ghum chupa kar muskurana parta
hai, kabhi hum bhi dost the aapke aaj kal aapko ye bhi yaad dilana parta hai
Submitted By : Farjad, Added On : Oct 31, 2006
Dhalti sham ka khula ehsas ha,meray dil ma teri jaga kuch khas ha,tu
nahi hay yahan maloom ha mujhay,magar dil keh raha ha ka tu yahi as pas ha(
irfan)
Khuda Bhee Na Jaane Kaise Rishte Banaa Detata Hai, Jin Ko Hum Kabhi
Jaante Bheee Nahi Unko Jaan Say Bhee Pyara Bana Deta Hai
In rastoo pay na baytho hawa tang karay gi
Bichary howay logoo ki sada tang karay gi
Maat tot kay chahoo kisi ko aghaz-e-safar may
Bichiray ga to aik aik ada tang karay gi
Tum se doori ka ehsaas jub satane laga,
Tere sath guzra har lamha yaad aane laga,
Jub bhee tumhe bholane ki koshish ki,
Ae dost tu dil k aur paas aane laga
Tum to mery apny ho phir ye takalluf kesa
Log to gairon se bhii keh dety hain batain dill ki.
Aapke shaher ka mausam suhana lage,
Aapki ek shaam chura lun agar bura naa lage,
Aap chahe to bhula de humko,
Par aapko bhulane mein shayad hame zamana lage.
TUJHE Apna Mukkadar Batate Hai Hum,
Khuda K Baad Tere Aage Sir Jhukate Hai Hum.
Dosti Ka Rishta Tod Mat Dena,
Is Rishte K Dum Par muskurate hai hum
Jinki nazron men hum nahin achey,
Kuch to woh shakhs bhi bura hoga.
Aas dil mein hai tumhain panain ki,
Hum ghalti kar nahin saktay tumhain bhulani ki,
Ho sakti hai doori aap se lekin,
Himat hum(Aijaz) bhi rakhtay hain faslay mitani ki.
Us ko chaha per izhar na karna aya,
Kut gae umer hamen pyar na karna aya,
Usne manga bhi agar kuch to judai mangi,
Aur hum they hamen inkaar na karna aya.
Zindagi kay bhed ko janay ga kon,
Zindagi kuch bhi nahin teri tamana kay sivaa.
Kisi moor per hum apko khone nahi denge,
Juda hona b chaho to hone nahii denge,
Chandni raaton mein aayegi meri yaad,
Meri yaad k wo pal apko sone nahi denge.
Ansuo Se Palak Bhigo Leta Hoon
Yaad Teri Ati hain To Ro Leta Hoon
Socha ke Bhoola Du Tujhey Mager
Har baar Faisla Badal Deta Hu
Mitti meri kabar se chura raha ha koi,
Marr kar bhe yaad aa raha ha koi,
ya Khuda ek pall ki zindgi de de mujeh,
udaas meri kabar se ja raha ha koi.
Sajda karoon ga tujh ko to kaafir kahin gay log,
Ye kon sochta hai tujhay dekhnay kay baad.
Is dil ko teri aahat ki aas Rehti hai,
Nigah ko teri surat ki pyaas rehti hai,
Tere bim kisi cheez ki kami nahi,
Magar tere bin zindagi udaas rehti hai.
Zindagi ki rahon me jab aage aage jaoge,
Peeche ek saya tum har dum paoge,
mudke dekhoge to tanhai hogi,
Agar mehsoos karoge to humko paoge.
Nidhaal karnay lagi hai teri berukhi warna,
Kabhi to hum hi hawaoon k rukh badaltay thay.
Jiski Talash hai Usko pata bhi nahi,
Hamari Chahat ko Usne samja hi nahi,
Hum puchhte rahe ki Kya Tumhe Humse Pyaar hai,
Aur Woh kehte rahe ki Unhe pata hi nahi.
Beqhudi Si Zindagi Hum Jiya Nahin Karte, Jaam Dosro Se Chin Kar Hum
Piya Nahin Karte, Un Hain Kehdo Hum Se Mohbbat Hain To Aa Kar Izzhar Kare,
Phicha Hum Bhi Kisi Ka Kiya Nahin Karte
Wo chand hai magar aap se pyara to nahi,
Parwane ka shama k bin guzara to nahi,
Mere dil ne suni hai ek meethi si awaz,
Kahin aap ne hume pukara to nahi.
Jis waqt RUB ne tuje banaya hoga,
Ik saroor sa tere dil pe chayya hoga,
Pehle socha hoga k tuje rakhe JANNAT mein,
phir USSAY mera khyal aaya hoga.
Royein gi ankhein tere jane kay baad,
Ayein gay raat din dhul jane kay baad,
Jane walay zara mur kay tu dekh,
Shaid yeh zindagi na rahe tere jane kay baad.
Tere wada per ye aitbaar kia tha humne,
Kis kadar tere sms ka intezar kia tha humne,
Pal pal mein mar mar kar hum jiye,
Shaid bewajah khud ko beqaraar kia tha humne.
Tu dhoond falak pay bagh-e-erum,
Apna tu aqeda hay zahid,
Jis khak pe do dil piyar karay,
Wo khak bhi janat hoti hay
Is dil ko teri aahat ki aas Rehti hai,
Nigah ko teri surat ki pyaas rehti hai,
Tere bim kisi cheez ki kami nahi,
Magar tere bin zindagi udaas rehti hai.
Tuesday, June 23, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment